google-site-verification: google0941824a5c93d28a.html google-site-verification: googleade1374089bebab9.html Mohabbat hai Hamara almiya ye hai | Sweet Lover,s

7/27/2012

Mohabbat hai Hamara almiya ye hai

Mohabbat hai
Hamara almiya ye hai
Ke hum ik dosre ke qurb se sarshar ho ker
bhi
Ana aur khof ke saaye main umren kaat dete
hain
Hijab-e-be sabab
youn zindgi bhar ki pashemani main dhalta
hai
Ke apne aap se nafrat si ho jaaye
Talash-e-lamha- e-izhar main
Kitne zamane beet jaate hain
Magar iqrar ka mosam nahi aata
So jab iqrar ka mosam nahi aata
To phir umeed khawabon k dreechon per koi
dastak nahi deti
Na dasht-e-aarzoo main aas ki barish barasti
hai
Badan ki raakh main koi sharar baqi nahi
bachta
Faqat
ik raaigan ehsaas ki surat gari tashkeel pati
hai
Ye ehsaas-e-ziyan
Chahe rag-e-jaan main uter jaaye
Ke aankhon main biker jaaye
Magar hum phir bhi
Apni buzdili aur be yaqeeni k sabab
Ik dosre se keh nahi sakte
"Muje tum se Mohabbat hai"
"Muje tum se Mohabbat hai"..!!

?¸.•°*"˜˜"*°•. ? Sweet Lover,s ?¸.•°*"˜˜"*°•. ?  —  



No comments: