google-site-verification: google0941824a5c93d28a.html google-site-verification: googleade1374089bebab9.html SEO Tips In URDU | Sweet Lover,s

9/08/2012

SEO Tips In URDU


Apni Website Ko Serach Engines Me Quickly Add Karain

New Web sites, Jis Me Blogs B Shamil Hain, Baz Oqat “Sandbox” Ki Hesiat Se Jani Jati Hain Jin Ko Aksar Search Engines Apni Regular Search Results Me Show Nahe Krty.
Es Liay Ye Zarori He K Aap Google Ar Dosray Search Engines Me Jald Az Jald Apni Website Ko Index Karain. Takeh Ye Regular Search Results Me Show Ho Saky.
To Ab Sawal Ye He K Aap Jal Az Jald Apni Website Ko Kis Tarah Index Ker Sekty Hain.?

Es Process K  4 Assan Steps Hain….

1 = Blog Ar Websites Communities Join Karain
Search Engines Me Apni Website Ko Index Krny Ka Behtreen Tareeqa He K aap Agr Blog Use Kr Rahy Hain To Mukhtalif Blog Communities Me Apna Blog Add Karain. Agr Aap Website Use Kr Rahy Hain To Mukhtalif  Website Directories Main Apni Website Add Karain. Ar Es Bat Ka Khayal Rakhain K Directories Ar Communities Main Apni Website Ya Blog Ka Description Acha Ar Category Drust Honi Chaiay.

2 =  Social Networking Sites Per Apni Site Share Kerna
Website Communities Ki Tarah Social Websites Jesy Facebook , Orkut , Twitter , Google+ , Aap Ki Website Ki Ranking Berhany Main Madad Deti Hain..
Apni Website Ko Twitter Ar Facebook Wagera main share krny Se Bhe Aap ki Search Ranking Behter Hoti Hai. Ar Apni Website Ka Facebook FAN PAGE Bna Kar Usay Promote Karain.

3 = Internal Links Ar Keywords Shamil Kerna
Aap Ny Aksar Suna Hoga K Website K Ajza Yeni Contents He Sab Kch Hota Hai. Ar Sirf Ajza Nhe Belkeh Behtreen Contents He Drasal Ahmiat K Hamil Hotay Hain.
Aap Agr Apny Blog Me Kch Add Kr Rahy Hon Ya Apni Website Per Kch Add Ker Rahay Hon To Es Bat Ka Khas Khayal Rakhain k aap K Contents Mian Aap Ki Website K Dosry Contents K Links Bhe Mojod Hon. Ar Aap ki Website Ya Blog K Keywords Bhe Aap K Article Ya Content Se Related Hony Chiay. Ar Keyword Lazmi Shamil Karain Es Sy Search Engine Ko Pata Chalta He K Aap Ki Website Kis Chez Se Mutaliq He.
4 = Site Map ko Google Per Submit Karain
Site Map Aap Ki Website Per Mojood Tamam Links Ka Majmoa Hota He. Es Liay Ye Zarori He K Aap ApniWebsite Ya Blog Ka Sitemap Lazmi Bnain Ar Usy Google Per Submit Ker Dain. Google Webmaster Tools Me SignIn Hoon Apni Website Add Karain Ar Us Me Sitemap Add Karain.

1 comment:

Phoenix Search Engine Marketing said...

Very nice though, my Phoenix Social Media experts likes your blog so much. Have a nice day.